Ghar Baithe Online Paise Kaise kamaye

 

Ghar Baithe Online Paise Kaise kamaye



Online paise kaise kamaye?(how to make money online)

Online paise kaise kamaye:- kya aap ghar baithe paisa kamana chahte hain? Kya aap online paisa kamana chahte hain?

Aap apni aamdani barhana chahte hain? kya aap R.s 40000+ per month kamana chahte ho?

Agar upar ke sabhi ya kisi ek ke liye bhi aapka jawaab haan hai then, ye lekh(article) apke liye hi hai.

Ise pura padhe, because isse tum jaan sako, ki kya karna hai aur kaise kamana hai?

Har koi paisa kamana chahta hai. Isiliye to aaye din india me lakho log google pe ye search karte hain:-

“ghar baithe online paise kaise kamaye” or “internet se paise kaise kamaye” or “work from home job” or “Internet se paise kamane ke tarike” e.t.c.

To mere dost, jaise ki offline kamane ke, for example:- kirana dukaan, small Businesses, sarkari naukri, kapde ki dukan, cyber cafe e.t.c hazaro tarike hain.

Usi tarah Internet se paise kamane ka tarika bhi hazaro hain.

Market research se ye baat samne ayi hai ki, har saal 10 lakh se jyada naye users internet se judte hain.

And lakho log aise hain, jo online or ghar baithe paise kama rahe hain. apne sapne ko pura kar rahe hain.

koi part time to koi full time. But, iske liye kuchh hunar chahiye.

But, aisa nahi hai ki tumhare andar koi hunar nahi hai. Uparwala sabhi ko kuchh na kuchh hunar jarur deta hai. bas use pehchano chhore/chhori.

So, khojo us hunar ko and usi hunar se paise kamana start kar do.

Then, aao mai yaha tumhe sabse behtar aur sahi 10 online paise kamane ke tarike ya yun kaho ki paise kamane ki hacks batane jaraha hun.

Blogging se online paise kaise kamaye



Agar tum internet or online paise kamana chahte ho. then,un sab me se jo sabse pahle aata hai, blogging.

Start a blog, because ye easy and kam kharch or free me bhi start kiya ja sakta hai.

kamai ki raftaar dheemi hogi but, thora sabr karne and lage rahne se nikal paregi.

Blogging karne ke liye kya jaruri hai?:-

first:- likhne ki kala(writing skill)

second:- kisi bhi ek topic me gyani(expert) hona (sehat, cooking, mobile e.t.c)

hence, aap ke andar ye dono chize hain to fir bas likhte jaao aur kamaate jaao. And agar ye option pasand nahi hai. Then, apun ke paas 9 aur option bhi hai dost, Tension nahi lene ka ;).

Blog kaise start kare:-

Blog ke liye sabse pahle apko domain aur hosting kharidna hoga.

Domain aapka blog ka naam hota hai. So, koi alag aur achha sa naam socho.

And hosting ek service hai jo hame apni website ko internet pe upload karne ki suvidha deta hai.

Tum domain aur hosting me paise kharch kiye bina bhi, free me blog bana sakte ho. tumhe bas WordPress.com ya Blogger.com pe jana hai, and waha bataye gaye steps ko follow karna hai.

Or, blog ke liye aap kisi web design wale se apna blog setup karwa lo.

Nahi to mai bata dunga, bas ek share maar dena or follow karlena :p. Now, website setup ho jane ke baad pel do usme apna saara gyaan :).

Blogging se paise kamane ke 3 tareeke hain:-

First:- Advertising

Bahut sare online advertising company hai jinke ads tum apne blogs pe daalkar paise kama sakte ho.

kuchh popular online advertising company hai jisme google adsense sabse best hai. usse approve karwa lo and paise aana chaalu.

Second:- Affiliate marketing

ye hota hai dusro ki chizo ko bechne me madad karna.

Jab aap online bikne wala koi products or services ko bechne me madad karte ho to wo seller apko commission deta hai.

aap bade bade websites jaise Amazon, flipkart ya koi hosting company ke samaan(products) ko sell karwa ke achha paisa kama sakte ho.

And third:- Sponsored post

jab apka blog thora popular ho jata hai then,bahut sari company apne product ke review ke liye apko kahte hain.

Review ke liye wo tumhe apne product ke sath sath achha khaasa paisa bhi dete hain.

Youtube se online paise kaise kamaye

Dosto, aajkal third sabse jyada famous social media hai YouTube. and agar sirf videos ki baat ki jaye to ye first pe hai.

online surveys me ye baat samne ayi hai ki sirf india se hi, har din 26.5 karod log youtube pe jarur aate hain. And, unme se sab rozana 5 ghante, 15 minute youtube videos dekhta hai.

Is lockdown ke dauraan to sabhi ka ek hi interest raha- youtube pe video dekhna(Watching videos on youtube).

YouTube videos banane ke liye bhi 2 chize jaroor ani chahiye:-

First:- kisi bhi ek vishay, chiz or topic me maahir

Second:- Presentation ki kala

presentation ka matlab hai ki aap khud ko dusro ke saamne kaise dikhate ho. Isme apke haav bhaav and bolne ki kala hona behad jaruri hai.

Blogging ke muqaable, isme thora jyada kharch hota hai(sirf shuruwat me). Jaise ki apko ek Camera chahiye, stand video, editing software e.t.c.

Blogging ki tarah isse bhi teen tarah se paise kamaye jate hain. Aur wo teeno tarike upar blogging ke hisse me likhi hui hai.

  1. Sabse pahle Youtube par apna channel banalo.

2. Ek unique aur chhota naam rakho

3. Youtube channel art lagao

4. Youtube logo lagaye

5. Youtube video banao aur upload karo

6. Youtube video custom thumbnail ka istemaal kare.

7. Title, tag, description me keyword ka use kare

8. Video ko social media par promote kare

9. 1000 subscriber complete kare.

10. 4000 hours watch time video complete karo

11. Ab apne youtube channel ko google Adsense se jodo

12. Jaise hi tumhara youtube channel, google se monetization active ho jayegi, tumhari video pe ads aane lagegi.

13) Aur fir kamayi shuru. ye dono, blogging and vlogging, passive income me aate hai.

Because, isme ek baar lekh likh do or video banakar daal do, hamesha wo views, visitors and paisa laata rahta hai .



Online tution se paise kamaye


Aajkal bahut sare log baccho ko and bado ko bhi online padhakar paisa kama rahe hain.

Agar tum kisi vishay me expert ho then, tum online platform par logo ke doubts solve karke paise kama sakte ho.

After corona pandemic, ye bahut aam aur sahaj ho gaya hai.

Jaise, kisi ko gaane me ya painting me interest hai to ye sikhne ke liye wo kisi ek academy ko join karega. 

And then, aisa to nahi hai ki tum koi bhi course sikhna chaho, wo tumhare ghar ke paas hi ho, tumhe bahar bhi jana par sakta hai.

But, online tution ke jariye koi bhi ghar baithe hi apna manpasand course sikh sakta hai.

Isse online paise kaise kamaye:-

Aaj internet pe aise website ki koi kami nahi hai, jaha log online course lete hain. Unme se hi ek Udemy hai, jaha tum apne gyan ko share karke paise kama sakte ho.

Udemy pe Register karke apna complete course, video aur documents ke jariye upload kar sakte ho.

Then, apko us course ka ek price set karna hoga(3000₹, 5000₹ e.t.c). Jo koi apka wo course lena chaahega, wo Udemy ke jariye payment karke use le payega. Udemy kuchh commission rakh kar tumhe paise de deta hai.

Freelancing se online paise kamane ka tarika


Freelance jobs online paisa kamane ka hamesha se sabse achha tarika raha hai.

Internet par aise bahut se platform hai, jo alag thalag skills ke logo ko freelancing karke paise kamane ka mauka deti hai.

Freelancing hai kya? :-

Jab koi vyakti kisi company ke daayre me na rahkar, apne ghar me ya fir apne man-chahi jagah me baithkar dusre ke liye kaam karta hai.

Us vyakti ko freelancer aur is pure kriya(process) ko freelancing kahte hain.

Freelancing ke liye kya hai jaruri:-

Iske liye kisi tarah ki yogyata or qualification or degree ki jarurat nahi parti.

If, tumhare paas SEO, data entry, photoshop, video editing ya koi aur bhi field ki achhi gyan hai.

Then, tum freelancer bankar achhi khaasi hari pattiyan kama sakte ho.

Is kaam ke liye tumhare paas ek laptop/computer and internet hona jaruri hai. ek printer ho to aur achha rahega.

Freelancing job lagbhag har vishay me mil jate hain. but, kuchh aise topic hain, jinki demand bahut jyada hai:-

Data entry, web designing, accounting, consultantwriting, editing, app develpment, graphics designing, photoshop e.t.c

Ab tum kahoge konsi website pe ham ye kaam shuru kar sakte hain, jo bharose wali ho.

Ye rahi kuchh site, jahan tumhe achhi job mil jayegi.

Fiverr, upwork, indeed, freelancer, guru, content e.t.c websites hain. jahan sign up karo, profile banao aur ho jaao shuru.

Online saamaan bechkar ghar baithe paise kaise kamaye

Online business puri duniya me apne paaon pasaar raha hai. ye bahut hi easy tarika hai paise kamane ka.

Tum regularly online store jaise, Ebay, OLX, Amazon, quickr par jarur entry marte hoge.

Jahan par tum apne jarurat ki chize kharidte hoge.

Yaha par tum seller ke hisaab se un saamaan ko bech sakte ho, jinhe tum kabhi istemaal nahi kar rahe ho.

Wo chahe kuchh bhi ho sakta hai, jaise ki tumhara cell phone, books, electronic chizo se lekar koi purani sikke ya pin tak.

Because, jo chize tumhare liye bahut upyogi nahi hai, wo kai logo ke liye upyogi ho sakti hai. and apko uske liye achhi keemat bhi mil sakti hai.

Ek baat ka hamesha se dhyaan rakhe, keval bharosemand online market place ke sath hi register karke aage badhe.

Ek aur baat :-

Agar tum apni chizo ko jaldi bechna chahte ho to us item ke liye aisi keemat rakhe jo uchit(reasonable) ho.

Affiliate marketing se ghar baithe kaise kamaye

Maan lo ki, tumhara ek kapde ki dukaan hai, aur tum kapde ko achhe se nahi bech paa rahe ho.

Then, tum kisi ko kahoge ki agar wo tumhare kapde ko bechne me madad karega. So, tum use har sell me 15% percent ka commission doge. yahi hoti hai affiliate marketing.

Isme income to bahut achha hai, par dusre jitna aasaan nahi hai.

kisi ko koi chiz kharidne ke liye manana thora mushkil hai. But, namumkin nahi.

Agar tum kisi ko kharidne ke liye mana sakte ho to tum aur tariko se jyada paise kama sakoge.

URL shortener(Free me paise kaise kamaye)


Baiscally, URL shortener ka matlab hota hai, kisi bhi URL ko short matlab chhota karna.

Kya karna hoga?

Iske liye tumhe bade links, jise share karna chahte ho, unhe shortener website ke madad se chhota karna hota hai. kuchh is tarah se :–



And jab tum inhe share karte ho then, jab bhi visitor us link ko open karta hai. Use pahle ek ads dikhai parta hai. Us ads ko dekhne ke liye apko paise milte hain.

Aapko kitna commision milega, Ye Company par nirbhar karta hai. kyuki alag alag URL shortener company alag alag commision deti hai . Average 1 URL par 1000 views ke 1$ se 10$ dollar tak mil sakte hain.

Website konsi hai?

Internet par aisi bahut url shortener website hai but, unme se bahut si fake hai.Hence, bahut hi kam payment deti hai.

Isliye kuchh bharosemand website ka mai naam deraha hu, jinka istemaal aap kar sakte ho:-

stdurl.com, Bitly, Adf.ly, shrinkearn, ouo.io, shorte.st, clkim.com

Post a Comment

Previous Post Next Post